Iss Daur ko Bhagat Singh ki talash hai
Bhagat Singh ki talash hai–
Talash hai ek aise shakhs ki
Jo hamein need se utha sake
Jo hamari aatma ko jhakjhor sake
Jo hamein Bharat ka matlab bata sake
Jo hamein Azaadi ke maayne sikha sake
Jo hamein swabhimaani bana sake
Muft mein mili thi Swatantrata
isiliye hamne uski ahmiyat ko bhula diya hai
Amar Krantikaariyon ko Lajjit kar diya hai
Unke khoon ko paani kar diya hai
Mar Gaya hai Jazba-Junoon watan ke liye kuch bhi kar jaane ka
Swaarth ke is jeevan mein apne ko bhi apmaanit kar diya hai
Kabhi gaur karna ki kahan jaaoge
Agar apne adhikaaron ke liye awaaz nahi uthaoge
Chahte ho ki desh ki soorat badle par khud uske liye kuch karna nahi chahoge
Kaun badlega halaat jab tum hi aage nahi aaoge
Yeh watan karaah raha hai
Tum to kuch karoge nahi isiliye
Cheekh Cheekh kar Bhagat Singh ko pukar raha hai
Kya uski yeh pukar koi sunega
Kya fir se woh gulaami ki bediyon mein jakda jaayega
Is Daur ko Bhagat Singh ki talash hai
Shaheed Bhagat Singh to ab na aayenge
Is Daur ko apne hi daur ke Bhagat Singh ki talash hai
Intezaar karo uske paida hone ka ya fir ban jaao tum ek aur Bhagat Singh
Nirnay Tumhara Hai, Waqt tumhara hai, Abhimaan Tumhara hai
Aakhir yeh Mulq Tumhara hai……